Ek mobile se Dusre mobile me Balance Transfer kaise kare ?


Ek Samay Tha Jab Ham Kisi ko call karne ke liye STD – PCO ki shop me jaya karte the. lekin jab se hamari life me smartphone aaya hai tab se STD – PCO wale bichare bekar ho gaye hai. Aajkal Mobile phone Har kisi ke pas hota hai. kisi ko kahi bhi call karna ho to mobile ne simple bana diya hai. kisi ka bhi contact karna ho to aapke pas isaka Number, Mobile phone aur , Mobile me balance chahiye. Agar Balance ha Ho To ? Kya Ham Free call kar sakte hai ? Possible nahi hai. Ek rasta hai ham Dusare Phone Se Apne mobile me Balance transfer kar Sakte hai.

Call karne ke Liye Mobile me balance hona jaruri hai. kai bar kisi ko call karte karte Balance khatma ho jata hai. Bat bhi Itani impotent hoti hai. tab kya kare ? ham kisi aur ke Mo. Number se Apane Number pe balance Transfer kar Sakte hai. Is Article me idea, Airtel, Telenor, Vodafone, Aircel, Reliance GSM, BSNL Aur Tata Docomo sim card se balance Transfer karne Ke Tarike – Tips Bata rahe hai.

How to Transfer balance From One Mobile to Another ?

Note : Yaha Aapko Jo Tricks – Ussd Code Diye hai ye Sabhi  aap Jab Ise istemal Kare Aur work na kare to Comment me Bata Dena. Ham updated transfer balance USSD Code Our Method – Latest  tricks  Provide karenge.

Useful : Mobile phone me Free Internet kaise chalaye ?
How to Transfer Balance from Idea to Idea

Idea Se idea Me Balance Transfer karne Ke liye Ye Tricks Use Kare ?

 Tricks : 1 :

Sabse Pahle Aapke mobile Ka Dialer Open kare.
Ab Yaha Aapko *151* aur Isake Pichhe country code (91) Add kare.
bad me Jis Mobile Me Balance bhejana Hai Ye Number Add kare.
Ab * add kareke amount ( paise ) add Kare.
Last me # Add karke Dial kare.
Example : *151*91XXXXXX4769*10#

  Tricks : 2 :

message me jaye.
GIVE Likhe.
Spec chood kar jisako bhi balance bhejana hai usaka Nubmer add kare.
Fir Spec Chhode Aur Paise Likhe.
55567 pe Send kare.
Example : GIVE 98XXXXXXXX 28

Note : Idea Users Rs. 5/- se Rs. 100/- tak, Ek din me sirf 3 times hi balance transfer kar sakta hai. Same number pe sirf ek bar aur Balance jisne send kiya hai uska Idea Number 90 days purana hona chahye or receiver ka number bhi 30 days purana hona jaruri hai.

how to balance transfer in airtel prepaid ?

Transfer Balance from Airtel to Airtel ? Is USSD Code Method ko Follow kare.

Phone ko open kare uar *141# dial kare.
Ab menu Open hoga isame ye sabhi option hoge.
1) Share Talk time
2) Buy happy hours Pack
3) Take Loan/Ask for Talk time
4) Gift Pack
5) Call me Back Sms
6) Account
7) Help

isame se 1st option “Share Talk Time” select karna hai.
“1” Enter kare aur “Send” kare.
Ab Jitana balance Transfer karana hai wo amount add kare.
Bad me Jis Number pe balance bhejna hai wo Enter kare.
wait…5 minutes Aapka Balance send ho jayega.
Note: Aap Rs.5 – Rs.30 tak Main Balance transfer kar sakte hai, aap ke Airtel SIM me Rs 10 minimum balance bhi hona chahye. Aap ek din me sirf 5 bar aur month me sirf 30 times balance bhej sakte hai.

Telenor (uninor) Balance kaise transfer kare ?

Idea, Vodafone ki tarah Uninor bhi USSD codes se main balance transfer karne ki features deti hai. Apko sirf apne mobile ke dial pad pe *202*<Mobile Number>*<Amount># type karna hai.

Example – Rs. 30/- transfer karne ke liye *202*XXX6543210*30# dial kare.

Note : Rs. 5 Se Rs. 50 tak transfer ho sakata hai. transfer karne ka charges Rs.2 lagega.

how to transfer balance from vodafone to vodafone

Agar apke pas vodafone sim hai or aap kisi vodafone user ke number pe balance transfer karna chahte hai to,
*131*<Amount>*<Receiver’s Mobile Number>#   dial kare.

Amount ke jagah pe jitna amount send karna chahte hai wo type kare. Receiver Mobile Number ki jagah apne friend ya jiske number pe aap balance bhejna chahte hai uska vodafone number type kare.

Note: Vodafone user sirf Rs. 5/- se Rs. 30/- tak ka transfer kar sakte hai. Same number pe ek din me sirf ek bar balance transfer ho sakta hai.

how to transfer balance in aircel to aircel ?

aircel to aircel se mobile me balance ko transfer karne kae liye ye tips follow kare.
1. Apne Mobile me *122*666# dial kare.

2. Ab menu option ayega.

3. transfer ka option select kare.

4. next step me jaise bataya jaye ye follow kare.

Note : jaha pe aap sirf Rs 5 se Rs 100 tak balance ko transfer kar sakte hai.
transfer ka charges bhi lagega. images dekhe.


Reliance GSM se balance kaise bheje ?

sabse pahle dial open kare.
1. *367*3# dial kare. ya fir,
2. *312*3# dial kare. mobile number add karke amount likhe. default pin ki jagah 1 likhe, enter kare.

Useful : Top 10 tips – Whatsapp security kaise badhaye

How to Transfer Balance from BSNL to BSNL ?

BSNL se BSNL me bhi Aap Balance bhej sakte hai. isake liye Balance Transfer USSD code ko use kare.

BSNL me balance transfer karne ke liye Step.

message box open kare.
phir create message me jake Gift<SPACE><Receiver’s Number><SPACE><Amount> type kare
last me 53733 or 53738 pe sms send karde.
Example – Rs. 20/- transfer karne ke liye

Gift 9876543210 20

Note: Rs. 5/- se Rs. 50/- tak transfer kiya ja sakta hai. Balance Send karne wala BSNL number 90 days purana hona chahye or Balance receive karne wale ka number 30 days purana hona jaruri hai.Register karna pade to Is tarah Register kare : ” REGISTER PTOP ” send to 54455. SMS se Aapko Password mil jayega.

How to transfer balance from Tata Docomo to Tata Docomo ?

tata docomo sim se other tata docomo mobile sim me balance bhejane ke liye aapko ye simple step follow karna hai.

Messaging typing open kare.
type BT<space>Mobile Number add kare.
54321 pe send kare. ( Rs.5 will be transferred.)
Extra Inning :

Friends, in Sabhi Tips ko Follow karke Aap kabhi bhi mobile me balance ke bina nahi rahenge. kisi ko help kar payenge. tips ya USSD code ko Samaje bina Use mat kare. Apane dosto ke Sath Share kare. HindihelpGuru Ko facebook Page pe like Kare. Daily New latest Tips And tricks ke liye Website ki Visit karte rahe.


Ek mobile se Dusre mobile me Balance Transfer kaise kare ? Ek mobile se Dusre mobile me Balance Transfer kaise kare ? Reviewed by Unknown on 07:48:00 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.