Website Page Rank Improve Kaise Kare
Page Rank Kaise Calculate Hota hai ?
Koi bhi Search Engine hamare blog – website ko page rank deta hai. Aap blogging kar rahe hai isaliye page rank kya hota hai ? ye Aapko batane ki jarurat mai nahi samjata. Google Search Engine per 3 Month website ka review karke page rank detahai. jab koi bhi search engine page rank deta hai tab jyadatar ye sab factor ko dekhta hai.
1. Back links.
2. Inbound links.
3. Internal links.
4. External links.
5. No-Follow links.
6. Do-Follow links.
Google aur other search engine jab website ko page rank deta hai tab in sab ko analyze karta hai. agar hamne in sab me sahi work kiya hai to 1 to 10 Page Ranking numbers me hame add kiya jata hai. ab ham website page rank badhane ke liye Top 10 Killer Tips ke bare be discuss karenge.
jab aap google me search karonge ” How To Increase Page Rank? ” to aapko sabhi article me sabse jyada result milenge. wo hi SEO website ke Liye kitana impotent hai ye batata hai. page rank ke liye kai tips hai, likin mai aapko kuchh badhiya factor bata raha hu.
1. High Quality Content:
jyadatar hindi blogger ye galti karte hai ki kisi or blog me publish kiye article ke title me changes karke , content me only kuchh word change karke article likh dete hai. but google is smart search engine. wo aapke copy content ko pahchan leta hai. aur copy content ko page rank nahi deta hai.
agar aap sach me Page Rank increase karna chahte hai to unique quality content hi likhe. hoga ye ki aapka content reader ke dvara share hoga , aapko quality back link milega. to share with their friends. Aapko Engaging Content Writing karene ki tips me dhyan dena hoga.
2. website blog directories Submit :
page rank ke liye kisi bhi website ke liye quality back link pata sabse impotent hai. aur isake liye impotent hai website – blog ko different web directories me submit karna, article directories me submit karna.
page rank boost karne ke liye ye way jarur istemal kare. isase high quality Backlinks generate hogi.
website – blog ko kahan submit kare ?
* DMOZ
* Yahoo Directory
* Best Of The Web
* Ezine Articles
* Article Base
* Go Articles
* No Follow – Do Follow Link Kya Hai ? website Me Kaise Use kare ?
3. Guest Posting kare.
page rank improve karne ka ye jyada use kiya (best technique) gaya tarika hai. jyadatar blogger guest Post ka Option Dete hai. Aap bhi apane blog – website ke related guest post likhe. isase aapko two or three backlinks milengi. good Page Rank ke liye ye badhiya rahega.
4. Link Exchange:
halaki ye kuchh old techniques hai, but ye bhi page rank improve ke liye useful hai. aapni site ko apane friends ya other higher Page Rank wali site me link kare. aapka traffic badhega aur page rank bhi badhega. mai bhi LoveUsms Website se banner lagakar back link pa raha hu, aur muje isaka fayda mila hai.
5. Daily Update Blog – Website :
Google Search engine Keep Updating hone wali site ko jyada mahtva deta hai. fresh and unique content use jyada pasand hai. agar aap 1 month me 1 post publish karte hai to google se aapki Relationship achhi nahi rahegi. isaliye daily ya weekly article likha karo, Google ko Miss call ?? !! kiya koro bhaiya, nahi to Google Search Engine Aapko Bhul jayega…!! page rank improve ke liye ye bhi jaruri hai.
6. Commenting On Other Blogs:
good Page Rank generating ke liye comment karne ka tricks badhiya hai. high quality content aur jyada traffic wali website – blog me apane blog content ke related comment kare. dusare blog ki comment – link se aapko Do-Follow back link milti hai to page rank ko boost karne ke liye sabse best hai.
7. Social Bookmarking :
social website jyada traffic aur back links aapko deti hai. halaki kai social website No Follow link use karti hai but sabse popular social website hai wo aapko Do Follow link pradan karti hai. aap website – Blog Post link ko jyada se jyada Social Site pe Share Kare. isake liye Post Me Share Button ka Use kare. Dairectly Link Share karne Pe bhi Aapko Fayda Milega.
most popular Social Bookmarking Sites ka Use kare :
Facebook , Google Plus , Squidoo , Digg, Hub Pages , Stumble Upon etc.
8. Website Advertising:
page rank boost karne ke Liye Jyada Traffic lana Bhi Jaruri hai. kyu ki MORE VISITORS = BETTER PAGE RANK.
Traffic Badhane Ki liye Website Ko Promote Kare, Advertising kare. Isase Traffic Aur Back Link Dono Aapko Milenge.
How to Advertising Website ?
– Dusara Blog Banaye Aur Website Ki Link Banner Add Kare.
– Friends Ke Blog Me impotent Post Ki Link Rakhe.
– Website Content Related Image banaye -Link / url Likhe Aur Social Site Pe Share Kare.
– Social Site Pe Comment Kare – Forum Me Hissa Le Aur Dusaro ki Help Karke Site ka Link Add kare.
9. SEO Ruls Ko Follow kare.
jab bhi aap new article likhe tab SEO ke sabhi ruls ko Follow karna mat Bhule. Article Likhne ke bad Publish karne me jaldbaji mat kare. Dobara padhe. wordpress me yoast seo plugin kar rahe hai to good SEO content Hone tak Changes kare bad Me Publish jkare. Traffic Badhane Ke Liye Koi bhi un legle tarika na Use kare. aapka traffic pane ka tarika Google Ko pasand na Aaye To site Ko banned bhi kar sakta hai.
10. Daily review And Analysis Website :
blog Aur Website ki presses Pe Daily Najar rakhe. traffic ka Analysis kare. Google Search Console Me Aaye message ko follow kare. Email Me Aaye Web master Tools Ke Mail Ko Padha kare. page rank improve karne Ke Liye Kya Changes Karna hai Wo Sab Aapko Apane Aap Pata Chal Jayega.
finally word… !!!
Friends Blog Website Ka Traffic Hi Page rank Ko Boost karne Ke Liye kafi hai. ye sab Tips Back link pane Ke liye hai .Back link Aur Jyada Traffic Aapke Website ke Liye 1 to 10 Page rank Dilva Sakta hai. try kare,Koshis Kare , Koshis karne walo Ki Har nahi Hoti . Article Ko Share Karna, Comment Me Aapka Sanval Likhna Na Bhule.
Website Page Rank Improve Kaise Kare
Reviewed by Unknown
on
07:51:00
Rating:
No comments: